Monthly Archives: August 2012

Ek Chand Tanha Khara Raha

moon

Ek Chand Tanha Khara Raha
Merey aasmaan se zara pary,

Merey saath saath saffar mei tha
Merii manzilloon sey zara pary,

Terii justujuu ke hisaar sey
Terey khwaab terey khayal sey,

Maii wo shakhs thaa jo khara raha
Terii chaahatoon sey zara pary,

Kabhii dil kii baat kahii na thii
Jo kahi to wo bhi dabee dabee,

Merey lafz poorey to they magar
Terii samaa’toon sey zara pary,

Tuu chalaa gaya merey ham.safar
Zara daykh murr ke to eik nazar,

Merii kashtiyaa han jalii huii
Terey saahiloo sey zara pary

Ikhlaq ki Jang

Inasan agar chahay tu apnay Ikhlaq say buhat say ana walay lougoo ko ko hara sakta hai garoor say baharay atmad waly insano ko yah yaqeen dila sakta hai kay wo haqeqat main kaya hain isi liayya tu kahtay hain kay larai yah jang karnay say bahter hai ikhlaq ki jang lari jayay takay saanp bhi mar jayay or lathi bhi na totay dushmano ko sabaq bhi mil jayay ur wo dubara dushmani say toba bhi kar lain :)