kabhi fursat milay to milnay ana
kabhi waqt day ijazat to milnay ana
un galiyoon ki chokhat ko
aaj bhi taray gir kar sanbhalnay ka intazar karti hun
kabhi man main halchal ho tu milnay ana
milnay ana un darakhtoon ki shakhoon ko
jin par lagay aam aaj bhi tara
muthiyoon say bhari karioon ko intazar kartay hain
kabhi sans bojhal ho tu milnay ana
milnay ana un jugnuuon say jo aaj bhi
raat ki tareeki main taray anchal main chamaknay ka intazar kartay hain
kabhi aankhain num hoon tu milnay ana
najanay phir yah lamhay yah waqt yah fursat milay na milay

